deewana aaj bhi tere liye dum bharta hai
kisko samjhaayein dard hai aaj bhi seene mein
tera jaana, meri jaan, aaj bhi akharta hai
khush tu hai apni mohabbaton ki tarakki se par
paagal ye dil bhi tujhse hi pyaar karta hai
toone badli hai baahein sanam ki par ye
dil to aaj bhi tujhse hi wafaein karta hai
meri dhadkan thahar jaati hai tere aane par
kisi se tere milne par khoon ye jalta hai
tu kya samjhegi deewaane kaise rote hain
tu kya jaanegi har lamha qatal karta hai
main nahi jaanta tera mera rishta kya hai
paani mein aag sa asar ye humpe karta hai
soona hai tanhaaiyon se bhara hua ye dil aur
tera ishq isko bhi khaakh karne raakh bharta hai
meri aankhein hain sookhi; dil ho gaya hai paththar ka
uski daraaron se bhi ashkon mein dard ubharta hai
teri aankhon mein hain aansoo khushi ke lekin
tera aashiq gham-e-dil mein bhi hansa karta hai
0 comments:
Post a Comment