Hasna aur Hasana Koshish hai Meri,
Har koi Khush rahe ye Chahat hai Meri,
Bhale hi Koi Mujhe Yaad kre ya na kre,
Har Apne ko Yaad krna Aadat he Meri..
Basa Hai Ankhoon Main Apka Chehra Is Tarah
Gulab Main Khushbo Basi Hoti Hai Jis Tarah
Namaz Parh Li Ho Aur Dua Na Mangi Ho
Ap Ki Kami Mehsoos Hoti Hai Kuch Is tarah'.
Pyar ko log Mohobbat kehte hain,
Kuch log isse bandagi kehte hain,
Magar jis pe hum marte hain,
Unhe hum zindagi kehte hain'
Kabhi hum tute to kabhi khwab toote
na jane kitne tukdon mei armaan toote
Har tukda aaina hai zindagi ka
har aaine ke saath lakhon jazbat toote..
Tadpe to bahut par wo maan nehin paye
Is dil ki mohabbat wo jaan nehin paye
ek din chale jayeinge is duniya se
Tab wo kahenge,
Laut aao hum tumhein pehchan nehin paye
Koi kehta hai mohobat zehar hoti hai,
koi kehta hai mohobat kehar hoti hai,
hum kehte hain jo tadapti rahi sada kinare k liye,
mohabat ek aisi lehar hoti hai
wo deta hai dard bus humi ko
kya samjhey ga wo in aankhon ki nami ko
lakhon deewane ho jiske
wo kya mehsoos kare ga eik humari kami ko
Gheele kaghaz ki tarah hai zindagi apni,
Koi jalata bhi nahi koi bahata bhi nahi,
Is kadar akele hain dil ki rahon mei,
Koi satata bhi nahi , Koi manata bhi nahi
Kisi ke bicharne ka dard saha nahi jata
Usi bhola nai par bhi bhulaya nahi jata �..
Ye eik dard hi aisa hai yaaro
Jo kai chah kar bhi kisi ko bataya nahi jata
Apni to muhabbat ki itni kahani hai,
Tooti hui kashti or tehra hua pani hai,
Ek phool kitabon mei dham tor chuka hai,
Magar kuch yaad nahi aata yeh kis ki nishani hai
Soch ko badlo, sitare badal jayenge,
Nazar ko badlo, nazare badal jayenge,
Kashtiyan badalne ki zarurat nahi,
Dishaon ko badlo, kinare badal jayenge.
Lehron ko shaant dekh kar yeh mat samjhna
Ki samandar mein ravani nahi hai,
Jab bi uthenge toofan ban kar uthenge,
Abhi uthne ki thani nahi hai.
Charo aur padayi ka saya hain,
Saare paper mein zero aaya h,
Hum to yuhi chal dete h bina muh
dhoye exam dene,
Aur log kehte hain, Sala raat bhar
padh ke aaya hai
0 comments:
Post a Comment