10:59 PM
0

Read most romantic and sad hindi new shayaris collection.

Wo aksar fursat me ek kaam karta hai..
Bana k aaina hamen Salam karta hai..
Us ki masoom adayen usay ruswa na kr dain..
Wo likh k drakhton pe mera naam aam karta hai..
Us k maathe se ubharta hai subha ka Noor..
Aur andhaira us ki zulfon me araam karta hai..
Ankhon se wardaaten karna hy paisha us ka..
Dilon ki choriyan wo sar-e-aam karta hai..
Zamana tera hi talabgaar sahi Faraz ..
Koi Husn wala hamara b ehtaram karta hai.

0 comments:

Post a Comment

Recent Shayari From Whatsapp